عنوان H1
Roman Urdu mein tashreeh blog k Last mein Dekhen
"غالب کا فلسفۂ محبت: 'جذب دل کا شکوہ' کی تشریح اور سیاق و سباق"
شعر H2
غلط ہے جذب دل کا شکوہ دیکھو جرم کس کا ہے
نہ کھینچو گر تم اپنے کو کشاکش درمیاں کیوں ہو
سیاق وسباق H3
مشکل الفاظ کے معنی H4
تشریح H5
فنی خوبیاں
سوالیہ انداز (Interrogative Style):
فلسفہ عشق
خطابیہ انداز
ردیف وقافیہ
شعر میں لفظوں کی ترتیب رکھی گئی ہے("ہے" اور "ہو جیسے الفاظ پوری غزل کو قافیہ میں باندھ دیتے ہیں جس سے موسیقیت پیدا ہو رہی ہے۔
اردو شاعری کی تشریح اور معنی
ہماری ویب سائٹ پر آپ کو اردو ادب کے عظیم شعرا جیسے کہ غالبؔ، اقبال، فیض، جون ایلیا، داغ دہلوی کی شاعری کی منفرد اور آسان تشریحات دستیاب ہیں۔ ہر نظم اور غزل کی گہری معنویت اور ادبی پہلوؤں کو سادہ انداز میں بیان کیا گیا ہے تاکہ قارئین اردو شاعری کی روح سے لطف اندوز ہو سکیں۔
اہم موضوعات:
اردو کلاسیکل شاعری کی تشریحات
فلسفہ خودی اور اقبال کی شاعری
فیض احمد فیض کا رومانوی کلام
جون ایلیا کی اداس شاعری
داغ دہلوی کا رومانوی انداز
مزید اردو ادب اور شاعری کے راز جاننے کے لیے ہماری مزید پوسٹس بھی ضرور پڑھیں۔ ہمیں اپنی رائے سے ضرور آگاہ کریں تاکہ ہم آپ کے لیے مزید بہترین مواد پیش کر سکیں
Roman Urdu Mein Tashreeh:
Ghalib ka Falsafah-e-Mohabbat: 'Jazb Dil ka Shikoya' ki Tashreeh aur Siyaq o Sabaq
Shair
Ghalat hai jazb dil ka shikoya dekho jurm kis ka hai
Na khinchho gar tum apne ko kashaksh darmiyan kyun ho
Siaq o Sabaq
Yeh shair Mirza Ghalib ka hai.
Mirza Ghalib Urdu adab ke munfarid aur azeem shayar hain jin ki azmat ko har zamane ne tasleem kiya hai. Ghalib ne apni shaayari mein falsafah ishq, insani nafsiyat aur tasawwuf ko gehraai mein bayan kiya hai. Ghalib insani jazbaat ko behtareen andaaz mein pesh karte agar aaj bhi koi un ke ash'ar parhta hai to us par wajd taari ho jata hai.
Ghalib ke ash'ar mein ishq ka bayan mohabbat ki kashmakash aur jazb dil ke mauzooat intehai gehraai mein milte hain.
Ghalib 19wi sadi ke azeem shayar hain. Is dor mein Dehli mein Mughliya Saltanat zawal pazeer thi. Agar hum Ghalib ke khatoot ka muta'laa karein to is waqt ke halaat humare samne ajayen. Behar haal, Ghalib ne is waqt mein insani nafsiyat, ishq, tasawwuf aur falsafah jaise mauzooat ko apni shaayari mein bayan kiya.
Ghalib ke ash'ar ka matlab hum dekhein to woh sirf ishq aur falsafah ke zahiri haalat ko bayan nahi karte balkay woh iska fikri, jazbaati aur nafsiyati muta'laa pesh karte hain. Mehboob aur aashiq ke talluq aur jazbaat ko gehri fikr se parhkte hain.
Mushkil Alfaaz ke Ma'ani
Jazb Dil / Dil ka mail hona, mohabbat aur kashish paida hona
Shikoya / Shikayat karna
Apne ko Khinchho / Khud ko kisi ki tawajjo mein lana
Kashaksh / Kashmakash
Tashreeh
Mirza Ghalib mehboob aur aashiq ke darmiyan talluq ko fikri aur jazbaati dono tareeqon se parhkte the. Is shair mein Ghalib kehte hain ke agar kisi ka dil tumhari taraf khinchta aur mail hota hai to usay koi qasoor nahi samjho balkay is baat par ghour karo ke tum mein bhi koi kashish hai jo aashiq ko khinch layi aur woh ishq karne laga. Ghalib kehte hain ke agar tum is nuqte ko nahi samajhte to dono mein kashaksh yani kashish kaise paida hogi. Aur ishq kaise tool pakdega.
Ghalib is shair mein yeh baat wazeh kar rahe hain ke mohabbat aik tarafah amal nahi hai balkay mohabbat aik do tarafah amal hai do logon ke darmiyan.
Ghalib ne ishq ke falsafay ko is shair mein bohat khoobsurati se bayan kiya hai.
Fanni Khubiyan
Sawaliya Andaaz (Interrogative Style):
Shair ka dosra misra sawaliya andaaz mein hai jaise
"Kashaksh darmiyan kyun ho?"
Yeh qaari ke liye aik sawal paida karta hai jissay woh ghour o fikr karta hai.
Falsafah Ishq
Ghalib ki shaayari mein humein falsafah ishq ka bayan gehraai se milta hai. Ghalib ishq ki noiyat, jazbaat aur talluq ko khule alfaz mein bayan karte hain.
Khitabiyah Andaaz
Ghalib qaari se is shair mein khitabiyah andaaz mein mukhatib hain ("Na khinchho gar tum"), jaise alfaaz shair ko jandaar bana rahe hain.
Radeef o Qafia
Shair mein lafzon ki tareeb rakhi gayi hai ("Hai" aur "Ho" jaise alfaaz puri ghazal ko qafia mein bandh dete hain jissay moseeqiyat paida ho rahi hai.
---
Urdu Shaayari ki Tashreeh aur Ma'ani
Hamari website par aapko Urdu adab ke azeem shoiron jaise ke Ghalib, Iqbal, Faiz, Jun Elia, Daagh Dehlvi ki shaayari ki munfarid aur aasan tashreehat dastiyaab hain. Har nazm aur ghazal ki gehri ma'aniyat aur adabi pehluon ko saadah andaaz mein bayan kiya gaya hai taake qaari Urdu shaayari ki rooh se lutf andoz ho sakein.
Ahem Mawaad:
Urdu Classical Shaayari ki Tashreehat
Falsafah Khudi aur Iqbal ki Shaayari
Faiz Ahmed Faiz ka Romanwi Kalaam
Jun Elia ki Udaas Shaayari
Daagh Dehlvi ka Romanwi Andaaz
Mazid Urdu adab aur shaayari ke raaz jaan ne ke liye hamari mazeed posts bhi zaroor parhein. Humein apni raye se zaroor aagaah karein taake hum aap ke liye mazeed behtareen mawaad pesh kar sakein.
Comments
Post a Comment